jis taraf koi na aa paya udhar aaya tu
jis taraf koī na aa paayā udhar aayā tū
maiñ tujhe sochne baiThā to nazar aayā tū
ai mire phuul ye guldān nahīñ marqad hai
tujh ko aanā thā kidhar aur kidhar aayā tū
terī peshānī pe ik misra' likheñge ye lab
yaar is baar mire sāmne gar aayā tū
ai mire she'r bahut ḳhuub use Das aayā
merī ummīd pe is baar utar aayā tū
'ishq mujh ko tirī parvāz tire par se thā
ai chakor aayā to kyoñ un ko katar aayā tū
jis taraf koi na aa paya udhar aaya tu
main tujhe sochne baiTha to nazar aaya tu
ai mere phul ye guldan nahin marqad hai
tujh ko aana tha kidhar aur kidhar aaya tu
teri peshani pe ek misra' likhenge ye lab
yar is bar mere samne gar aaya tu
ai mere she'r bahut KHub use Das aaya
meri ummid pe is bar utar aaya tu
'ishq mujh ko teri parwaz tere par se tha
ai chakor aaya to kyon un ko katar aaya tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.