jis taraf le ke hawa jati hai chal dete hain
jis taraf le ke havā jaatī hai chal dete haiñ
phuul chun lete haiñ kāñToñ ko masal dete haiñ
ḳhair-ḳhvāhī ke talabgār nahīñ ham logo
koī mushkil ho to hālāt kā hal dete haiñ
zālimoñ ko bhī sikhāte haiñ mohabbat karnī
dil ko ehsās ko zehnoñ ko badal dete haiñ
ḳhaak sahrā kī nahīñ aql uḌāyā kartī
dāvat-e-fikr-o-nazar dasht-o-jabal dete haiñ
kaf-e-afsos to aate nahīñ malnā ham ko
apne hī dil kā lahū haath pe mal dete haiñ
chāhne vāloñ pe hargiz na bharosa karnā
zindagī māñgne vāloñ ko ajal dete haiñ
shā.iroñ ko koī unvān-e-ġhazal de 'vājid'
ham ġhazal kah ke bhī paiġhām-e-amal dete haiñ
jis taraf le ke hawa jati hai chal dete hain
phul chun lete hain kanTon ko masal dete hain
KHair-KHwahi ke talabgar nahin hum logo
koi mushkil ho to haalat ka hal dete hain
zalimon ko bhi sikhate hain mohabbat karni
dil ko ehsas ko zehnon ko badal dete hain
KHak sahra ki nahin aql uDaya karti
dawat-e-fikr-o-nazar dasht-o-jabal dete hain
kaf-e-afsos to aate nahin malna hum ko
apne hi dil ka lahu hath pe mal dete hain
chahne walon pe hargiz na bharosa karna
zindagi mangne walon ko ajal dete hain
shairon ko koi unwan-e-ghazal de 'wajid'
hum ghazal kah ke bhi paigham-e-amal dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.