jis tarah aaj giraftar watan se nikle
jis tarah aaj giraftār vatan se nikle
nā-murādāna koī yuuñ na chaman se nikle
tauq-o-zanjīr pahan kar to ban aa.ī na murād
shāyad ab kaam vafā dār-o-rasan se nikle
ham ne dekhe haiñ bahut gardish-e-ayyām ke rañg
bārhā kashmakash-e-charḳh-e-kuhan se nikle
shādmāñ ho ke sahī saḳhtī-e-zindān-e-firañg
muskurāte hue ham qaid-o-mehan se nikle
be-ḳhatar kuud paḌe aag ke tūfānoñ meñ
ḳhuun meñ tair ke sailāb-e-zaman se nikle
jaan par khel ga.e aag ke tūfānoñ meñ
par na ham dab ke kahīñ charḳh-e-kuhan se nikle
jis tarah aaj giraftar watan se nikle
na-muradana koi yun na chaman se nikle
tauq-o-zanjir pahan kar to ban aai na murad
shayad ab kaam wafa dar-o-rasan se nikle
hum ne dekhe hain bahut gardish-e-ayyam ke rang
barha kashmakash-e-charKH-e-kuhan se nikle
shadman ho ke sahi saKHti-e-zindan-e-firang
muskuraate hue hum qaid-o-mehan se nikle
be-KHatar kud paDe aag ke tufanon mein
KHun mein tair ke sailab-e-zaman se nikle
jaan par khel gae aag ke tufanon mein
par na hum dab ke kahin charKH-e-kuhan se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.