jis tarah bhi barsar-e-paikar hona tha hue
jis tarah bhī barsar-e-paikār honā thā hue
zindagī kā ham ko da.ave-dār honā thā hue
tere jalvoñ tak rasā.ī ke liye āñkheñ na thiiñ
phir bhī terā tālib-e-dīdār honā thā hue
dushmanī ke naam par to ho chukā maidān saaf
dostoñ ko biich kī dīvār honā thā hue
yuuñ to sab ko e'timād apne paroñ par thā magar
jin parindoñ ko ufuq ke paar honā thā hue
apne is anjām kā shikva bhī ham kis se kareñ
kārobār-e-ishq meñ be-kār honā thā hue
dekhte hī rah ga.e sab hāsidān-e-nek-nām
jis qabīle kā hameñ sardār honā thā hue
gum rahe tārīkiyoñ meñ ‘shān’ is ke bāvajūd
ham ko āḳhir nuur kā mīnār honā thā hue
jis tarah bhi barsar-e-paikar hona tha hue
zindagi ka hum ko dawe-dar hona tha hue
tere jalwon tak rasai ke liye aankhen na thin
phir bhi tera talib-e-didar hona tha hue
dushmani ke nam par to ho chuka maidan saf
doston ko bich ki diwar hona tha hue
yun to sab ko e'timad apne paron par tha magar
jin parindon ko ufuq ke par hona tha hue
apne is anjam ka shikwa bhi hum kis se karen
karobar-e-ishq mein be-kar hona tha hue
dekhte hi rah gae sab hasidan-e-nek-nam
jis qabile ka hamein sardar hona tha hue
gum rahe tarikiyon mein ‘shan’ is ke bawajud
hum ko aaKHir nur ka minar hona tha hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.