jis tarah hua jis taur hua har zulm gawara ho to gaya
jis tarah huā jis taur huā har zulm gavārā ho to gayā
jī jī ke mare mar mar ke jiye duniyā meñ guzārā ho to gayā
is fikr meñ huuñ is soch meñ huuñ anjām-e-bahārāñ kyā hogā
har shāḳh-e-nasheman jal to ga.ī har phuul sharārā ho to gayā
āvāra sahī nākāra sahī dīvāna sahī tum sā na sahī
ḳhud apnā sahī maiñ yā na sahī kyā fikr tumhārā ho to gayā
mub.ham hī sahī vāzeh na sahī ik baar sahī paiham na sahī
itnī bhī tavajjoh kyā kam hai kuchh un kā ishārā ho to gayā
ab Dūbeñ ki ubhreñ kuchh bhī ho sāhil kī tamannā kaun kare
maujoñ kī siyāsat dekh to lī tūfāñ kā nazārā ho to gayā
is daur-e-taraqqī meñ insāñ ḳhud apnī haqīqat pā na sakā
fitrat ko musaḳhḳhar kar to liyā duniyā pe ijārā ho to gayā
jis tarah hua jis taur hua har zulm gawara ho to gaya
ji ji ke mare mar mar ke jiye duniya mein guzara ho to gaya
is fikr mein hun is soch mein hun anjam-e-bahaaran kya hoga
har shaKH-e-nasheman jal to gai har phul sharara ho to gaya
aawara sahi nakara sahi diwana sahi tum sa na sahi
KHud apna sahi main ya na sahi kya fikr tumhaara ho to gaya
mubham hi sahi wazeh na sahi ek bar sahi paiham na sahi
itni bhi tawajjoh kya kam hai kuchh un ka ishaara ho to gaya
ab Duben ki ubhren kuchh bhi ho sahil ki tamanna kaun kare
maujon ki siyasat dekh to li tufan ka nazara ho to gaya
is daur-e-taraqqi mein insan KHud apni haqiqat pa na saka
fitrat ko musaKHKHar kar to liya duniya pe ijara ho to gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.