jis tarah jhil ke pani mein sukun tairta hai
jis tarah jhiil ke paanī meñ sukūñ tairtā hai
merī āñkhoñ meñ tirā aks bhī yuuñ tairtā hai
yuuñ milūñ tujh se ki kuchh der meñ tujh sā ho jā.ūñ
gir ke dariyā meñ zarā der hī ḳhuuñ tairtā hai
jab bhī āvāz lagātā huuñ ki tū hai yā nahīñ
mere andar tirī āvāz meñ huuñ tairtā hai
josh meñ aa to gayā hijr ke samundar tak
dekhnā hai ki kahāñ tak ye junūñ tairtā hai
dil tirī yaad ke dariyā se nikaltā hī nahīñ
khīñch letī hai tah-e-āb ye juuñ tairtā hai
kyā huā aql Thikāne pe aa ga.ī pyāre
Dūbne ke liye kuudā hai to kyuuñ tairtā hai
jis tarah jhil ke pani mein sukun tairta hai
meri aankhon mein tera aks bhi yun tairta hai
yun milun tujh se ki kuchh der mein tujh sa ho jaun
gir ke dariya mein zara der hi KHun tairta hai
jab bhi aawaz lagata hun ki tu hai ya nahin
mere andar teri aawaz mein hun tairta hai
josh mein aa to gaya hijr ke samundar tak
dekhna hai ki kahan tak ye junun tairta hai
dil teri yaad ke dariya se nikalta hi nahin
khinch leti hai tah-e-ab ye jun tairta hai
kya hua aql Thikane pe aa gai pyare
Dubne ke liye kuda hai to kyun tairta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.