jis tarah ki hain ye diwaren ye dar jaisa bhi hai
jis tarah kī haiñ ye dīvāreñ ye dar jaisā bhī hai
sar chhupāne ko mayassar to hai ghar jaisā bhī hai
us ko mujh se mujh ko us se nisbateñ haiñ be-shumār
merī chāhat kā hai mehvar ye nagar jaisā bhī hai
chal paḌā huuñ shauq-e-be-parvā ko murshid maan kar
rāsta pur-pech hai yā pur-ḳhatar jaisā bhī hai
sab gavārā hai thakan saarī dukhan saarī chubhan
ek ḳhushbū ke liye hai ye safar jaisā bhī hai
vo to hai maḳhsūs ik terī mohabbat ke liye
terā 'anvar' bā-hunar yā be-hunar jaisā bhī hai
jis tarah ki hain ye diwaren ye dar jaisa bhi hai
sar chhupane ko mayassar to hai ghar jaisa bhi hai
us ko mujh se mujh ko us se nisbaten hain be-shumar
meri chahat ka hai mehwar ye nagar jaisa bhi hai
chal paDa hun shauq-e-be-parwa ko murshid man kar
rasta pur-pech hai ya pur-KHatar jaisa bhi hai
sab gawara hai thakan sari dukhan sari chubhan
ek KHushbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai
wo to hai maKHsus ek teri mohabbat ke liye
tera 'anwar' ba-hunar ya be-hunar jaisa bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.