jis tarah maut zindagi ke liye
jis tarah maut zindagī ke liye
dard vājib hai 'āshiqī ke liye
ashk apne liye sameTe haiñ
aur muskān har kisī ke liye
ban gayā maqbara mohabbat kā
ashk nikle mujāvirī ke liye
ham to maqtal se lauT aa.e haiñ
hai suhūlat kisī-kisī ke liye
apnā apnā charāġh hai sab kā
kaun detā hai raushnī ke liye
aañkh saa.il hai muTThiyāñ haiñ band
nā-munāsib gadāgarī ke liye
ḳhud ko ḳhud hī bayān kar denā
ye bhī mumkin nahīñ sabhī ke liye
jis tarah maut zindagi ke liye
dard wajib hai 'ashiqi ke liye
ashk apne liye sameTe hain
aur muskan har kisi ke liye
ban gaya maqbara mohabbat ka
ashk nikle mujawiri ke liye
hum to maqtal se lauT aae hain
hai suhulat kisi-kisi ke liye
apna apna charagh hai sab ka
kaun deta hai raushni ke liye
aankh sail hai muTThiyan hain band
na-munasib gadagari ke liye
KHud ko KHud hi bayan kar dena
ye bhi mumkin nahin sabhi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.