jis tarah se phulon ki Daliyan mahakti hain
jis tarah se phūloñ kī Dāliyāñ mahaktī haiñ
mere ghar ke āñgan meñ beTiyāñ mahaktī haiñ
phuul sā badan terā is qadar mo.attar hai
ḳhvāb meñ bhī chhū luuñ to uñgliyāñ mahaktī haiñ
maañ ne jo khilā.ī thiiñ apne pyāre hāthoñ se
zehn meñ abhī tak vo roTiyāñ mahaktī haiñ
umr saarī guzrī ho jis kī haq-parastī meñ
us kī to qayāmat tak nekiyāñ mahaktī haiñ
ho ga.ī 'razā' ruḳhsat ghar se beTiyāñ lekin
ab talak nigāhoñ meñ Doliyāñ mahaktī haiñ
jis tarah se phulon ki Daliyan mahakti hain
mere ghar ke aangan mein beTiyan mahakti hain
phul sa badan tera is qadar moattar hai
KHwab mein bhi chhu lun to ungliyan mahakti hain
man ne jo khilai thin apne pyare hathon se
zehn mein abhi tak wo roTiyan mahakti hain
umr sari guzri ho jis ki haq-parasti mein
us ki to qayamat tak nekiyan mahakti hain
ho gai 'raza' ruKHsat ghar se beTiyan lekin
ab talak nigahon mein Doliyan mahakti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.