jis waqt usne baKHt hamare banae the
jis vaqt us ne baḳht hamāre banā.e the
ham ne hatheliyoñ pe sitāre banā.e the
kuchh panchhiyoñ ne ghoñsle peḌoñ ke jhunD meñ
ūñchī jag.hoñ pe ḳhauf ke maare banā.e the
maiñ ne bas ek nahr nikālī thī haath se
dariyā ne aap apne kināre banā.e the
hasb-e-murād dast-e-hunar bolne lagā
gūñge ne chand aise ishāre banā.e the
kuchh zindagī ba-yād-e-azīzāñ zarūr thī
kuchh dost ham ne jaan se pyāre banā.e the
ham ne hayā pahan ke mohabbat-shi.ār kī
guḌiyoñ ke vāste bhī ġharāre banā.e the
dil meñ 'nasīm' husn kī takfīl ke liye
āñkhoñ ne kaise kaise idāre banā.e the
jis waqt us ne baKHt hamare banae the
hum ne hatheliyon pe sitare banae the
kuchh panchhiyon ne ghonsle peDon ke jhunD mein
unchi jaghon pe KHauf ke mare banae the
main ne bas ek nahr nikali thi hath se
dariya ne aap apne kinare banae the
hasb-e-murad dast-e-hunar bolne laga
gunge ne chand aise ishaare banae the
kuchh zindagi ba-yaad-e-azizan zarur thi
kuchh dost hum ne jaan se pyare banae the
hum ne haya pahan ke mohabbat-shiar ki
guDiyon ke waste bhi gharare banae the
dil mein 'nasim' husn ki takfil ke liye
aankhon ne kaise kaise idare banae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.