jise aana hai milne ke liye wo aa hi jata hai
jise aanā hai milne ke liye vo aa hī jaatā hai
na aanā ho to va.adoñ se faqat bahlā hī jaatā hai
jo aa kar ḳhvāb meñ bhī zehn-o-dil par chhā hī jaatā hai
vo zulf-e-mushkbū se qasr-e-dil mahkā hī jaatā hai
kabhī vahshat-zada māhaul meñ apne hī saa.e se
hujūm-e-kashmakash meñ aadmī ghabrā hī jaatā hai''
har ik chehre pe aa.e jab nazar ik dūsrā chehra
fareb-e-rañg-o-bū insān aksar khā hī jaatā hai
jise apnā samajhtā thā parāyoñ se bhī hai bad-tar
mirī auqāt aa kar vo mujhe batlā hī jaatā hai
parā.e aur apne dafn kar ke lauT aate haiñ
jo tanhā aayā hai duniyā se vo tanhā hī jaatā hai
jalāne aur bujhāne meñ mahārat hai jise hāsil
ulajh jaatī hai jo gutthī use suljhā hī jaatā hai
junūn-e-intihā-e-shauq ḳhizr-e-rāh ho jis kā
vo apnī manzil-e-maqsūd 'barqī' pā hī jaatā hai
jise aana hai milne ke liye wo aa hi jata hai
na aana ho to wadon se faqat bahla hi jata hai
jo aa kar KHwab mein bhi zehn-o-dil par chha hi jata hai
wo zulf-e-mushkbu se qasr-e-dil mahka hi jata hai
kabhi wahshat-zada mahaul mein apne hi sae se
hujum-e-kashmakash mein aadmi ghabra hi jata hai
har ek chehre pe aae jab nazar ek dusra chehra
fareb-e-rang-o-bu insan aksar kha hi jata hai
jise apna samajhta tha parayon se bhi hai bad-tar
meri auqat aa kar wo mujhe batla hi jata hai
parae aur apne dafn kar ke lauT aate hain
jo tanha aaya hai duniya se wo tanha hi jata hai
jalane aur bujhane mein mahaarat hai jise hasil
ulajh jati hai jo gutthi use suljha hi jata hai
junun-e-intiha-e-shauq KHizr-e-rah ho jis ka
wo apni manzil-e-maqsud 'barqi' pa hi jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.