jise bhi dekhiye sahil se aa ke pyar kare
jise bhī dekhiye sāhil se aa ke pyaar kare
savāl ye hai ki dariyā ko kaun paar kare
vo aa bhī jaa.e to rahtā hai intizār us kā
ab aise shaḳhs kā kyā koī intizār kare
jo jānte hī nahīñ ik qatār meñ uḌnā
nigāh aise parindoñ ko kyā shumār kare
libās jis kā hai ujlā faqat mire dam se
mirī qamīs ke dhabbe ko vo shumār kare
vahīñ uThā.ī hai andāz ne nazar apnī
nazāra ḳhud ko nazar par jahāñ nisār kare
jise bhi dekhiye sahil se aa ke pyar kare
sawal ye hai ki dariya ko kaun par kare
wo aa bhi jae to rahta hai intizar us ka
ab aise shaKHs ka kya koi intizar kare
jo jaante hi nahin ek qatar mein uDna
nigah aise parindon ko kya shumar kare
libas jis ka hai ujla faqat mere dam se
meri qamis ke dhabbe ko wo shumar kare
wahin uThai hai andaz ne nazar apni
nazara KHud ko nazar par jahan nisar kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.