jise chain mera aziz ho mujhe umr ki wo dua na de
jise chain merā 'azīz ho mujhe 'umr kī vo du'ā na de
hai qazā kī ab mujhe aarzū mire rab mujhe tū shifā na de
mire dil meñ yaaro jo zaḳhm haiñ baḌe jāñ-gudāz haiñ jāñ-gusil
na bacheñge ab to ye jism-o-jāñ koī us ko merā patā na de
mujhe sañg terā 'azīz hai mirī saañs tere qarīb hai
mujhe apne saath hī le ke chal mujhe rāsta tū nayā na de
kabhī ham ḳhirad se the āshnā hue ab haiñ ahl-e-junūñ-nashīñ
is hālat-e-ġham-e-hijr meñ koī aa ke ham ko uThā na de
jise chain mera 'aziz ho mujhe 'umr ki wo du'a na de
hai qaza ki ab mujhe aarzu mere rab mujhe tu shifa na de
mere dil mein yaro jo zaKHm hain baDe jaan-gudaz hain jaan-gusil
na bachenge ab to ye jism-o-jaan koi us ko mera pata na de
mujhe sang tera 'aziz hai meri sans tere qarib hai
mujhe apne sath hi le ke chal mujhe rasta tu naya na de
kabhi hum KHirad se the aashna hue ab hain ahl-e-junun-nashin
is haalat-e-gham-e-hijr mein koi aa ke hum ko uTha na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.