jise dekhā tirā joyā hai pyāre
tujhī ko DhūñDhne khoyā hai pyāre
qasam hai dīda-e-giryāñ kī mujh ko
ki duniyā ālam-e-royā hai pyāre
nihāl-e-āh hogā dāna-e-ashk
ūgegā vo jo kuchh boyā hai pyāre
tujhe dil de ke maiñ ne āzmāyā
vo sīkhā jis ne kuchh khoyā hai pyāre
kisī ke kaan bharne par na rakh dhyān
har ek muñh meñ zabāñ goyā hai pyāre
maiñ jaagā shab sar-e-gesū meñ varna
jise kaalā Dase soyā hai pyāre
mirā dil jal-bujhā shab se yahāñ kuuñ
charāġh-e-murdā par royā hai pyāre
nazāra kab kiyā us chashm-e-tar ne
abas dāman tirā dhoyā hai pyāre
milā do lab kahāñ kā āb-e-haivāñ
ḳhizar kā rāsta khoyā hai pyāre
kafan apne 'nasīm'-e-kushta kā sūnkh
har ek barg-e-gul boyā hai pyāre
jise dekha tera joya hai pyare
tujhi ko DhunDhne khoya hai pyare
qasam hai dida-e-giryan ki mujh ko
ki duniya aalam-e-roya hai pyare
nihaal-e-ah hoga dana-e-ashk
ugega wo jo kuchh boya hai pyare
tujhe dil de ke main ne aazmaya
wo sikha jis ne kuchh khoya hai pyare
kisi ke kan bharne par na rakh dhyan
har ek munh mein zaban goya hai pyare
main jaga shab sar-e-gesu mein warna
jise kala Dase soya hai pyare
mera dil jal-bujha shab se yahan kun
charagh-e-murda par roya hai pyare
nazara kab kiya us chashm-e-tar ne
abas daman tera dhoya hai pyare
mila do lab kahan ka aab-e-haiwan
KHizar ka rasta khoya hai pyare
kafan apne 'nasim'-e-kushta ka sunkh
har ek barg-e-gul boya hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.