jise dekho darinda sa lage hai
jise dekho darinda sā lage hai
ye saarā shahr to sahrā lage hai
na chhat apnī na ye dīvār apnī
na dar apnā na ghar apnā lage hai
ḳhudā hī jāntā hai haal us kā
vo kyā hai aur mujh ko kyā lage hai
koī to baat hai us aadmī meñ
burā ho kar bhī jo achchhā lage hai
na jaane dūriyāñ kyoñ baḌh ga.ī haiñ
jo apnā thā parāyā sā lage hai
sharad kī purnimā meñ taaj kā husn
baḌā dilkash bahut pyārā lage hai
hadīs-e-dil sunāte kyoñ nahīñ ab
ye qissa kyā fasāna sā lage hai
vo jaane sochtā rahtā hai kyā kyā
use ye duniyā jaane kyā lage hai
jise dekho darinda sa lage hai
ye sara shahr to sahra lage hai
na chhat apni na ye diwar apni
na dar apna na ghar apna lage hai
KHuda hi jaanta hai haal us ka
wo kya hai aur mujh ko kya lage hai
koi to baat hai us aadmi mein
bura ho kar bhi jo achchha lage hai
na jaane duriyan kyon baDh gai hain
jo apna tha paraya sa lage hai
sharad ki purnima mein taj ka husn
baDa dilkash bahut pyara lage hai
hadis-e-dil sunate kyon nahin ab
ye qissa kya fasana sa lage hai
wo jaane sochta rahta hai kya kya
use ye duniya jaane kya lage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.