jise hum kah saken apna koi aisa nahin milta
jise ham kah sakeñ apnā koī aisā nahīñ miltā
tire hamnām milte haiñ koī tujh sā nahīñ miltā
mohabbat ke safar meñ haiñ musāfir ham musāfir tum
hameñ manzil nahīñ miltī tumheñ rasta nahīñ miltā
kisī kī ruḳhsatī ke baad tanhā.ī ke aalam meñ
ġhamoñ kā saath hotā hai koī tanhā nahīñ miltā
samajh lenā koī maqsad hai us kī chāplūsī meñ
jhukā kar sar koī iḳhlās se itnā nahīñ miltā
jidhar dekho udhar sach bolne vaale hī milte haiñ
ta.ajjub hai koī is daur meñ jhūTā nahīñ miltā
talab hai raushnī kī to jalāo ḳhud diyā 'rāhī'
bujhāne tishnagī pyāse kī to dariyā nahīñ miltā
jise hum kah saken apna koi aisa nahin milta
tere hamnam milte hain koi tujh sa nahin milta
mohabbat ke safar mein hain musafir hum musafir tum
hamein manzil nahin milti tumhein rasta nahin milta
kisi ki ruKHsati ke baad tanhai ke aalam mein
ghamon ka sath hota hai koi tanha nahin milta
samajh lena koi maqsad hai us ki chaplusi mein
jhuka kar sar koi iKHlas se itna nahin milta
jidhar dekho udhar sach bolne wale hi milte hain
tajjub hai koi is daur mein jhuTa nahin milta
talab hai raushni ki to jalao KHud diya 'rahi'
bujhane tishnagi pyase ki to dariya nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.