jise mahbub KHud-dari bahut hai
jise mahbūb ḳhud-dārī bahut hai
use jiine meñ dushvārī bahut hai
yūñhī ujḌā huā rahne do mujh ko
sañvarnā dil pe ab bhārī bahut hai
na jaa.e kūcha-e-mehr-o-vafā meñ
vo jis ko zindagī pyārī bahut hai
bahut taḌpā liyā ab aa bhī jaao
tabī.at dard se bhārī bahut hai
chal ai dil ik na.ī duniyā basā.eñ
yahāñ nafrat kī bīmārī bahut hai
kisī ko kyā banā.eñ jaan apnī
hameñ ḳhud se bhī be-zārī bahut hai
tulā hai sach kalāmī par vafā dil
ki shānoñ par ye sar bhārī bahut hai
jise mahbub KHud-dari bahut hai
use jine mein dushwari bahut hai
yunhi ujDa hua rahne do mujh ko
sanwarna dil pe ab bhaari bahut hai
na jae kucha-e-mehr-o-wafa mein
wo jis ko zindagi pyari bahut hai
bahut taDpa liya ab aa bhi jao
tabiat dard se bhaari bahut hai
chal ai dil ek nai duniya basaen
yahan nafrat ki bimari bahut hai
kisi ko kya banaen jaan apni
hamein KHud se bhi be-zari bahut hai
tula hai sach kalami par wafa dil
ki shanon par ye sar bhaari bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.