jise tere gham ne sanwara nahin hai
jise tere gham ne sanwara nahin hai
Hakim Mazhar Subhan Usmani
MORE BYHakim Mazhar Subhan Usmani
jise tere ġham ne sañvārā nahīñ hai
nahīñ hai vo aañsū hamārā nahīñ hai
kaTe zindagī dūsroñ ke karam pe
hameñ aisā jiinā gavārā nahīñ hai
batāo hameñ ab tumhīñ ye batāo
kahāñ ham ne tum ko pukārā nahīñ hai
kahīñ sāya-e-gul meñ tum so na jaanā
ye tūfāñ hai tūfāñ kinārā nahīñ hai
bahāreñ bhī gulshan meñ aa.ī haiñ lekin
abhī tak guloñ ko nikhārā nahīñ hai
vahāñ sab ko apnā banānā hai 'maz.har'
jahāñ aaj koī hamārā nahīñ hai
jise tere gham ne sanwara nahin hai
nahin hai wo aansu hamara nahin hai
kaTe zindagi dusron ke karam pe
hamein aisa jina gawara nahin hai
batao hamein ab tumhin ye batao
kahan hum ne tum ko pukara nahin hai
kahin saya-e-gul mein tum so na jaana
ye tufan hai tufan kinara nahin hai
bahaaren bhi gulshan mein aai hain lekin
abhi tak gulon ko nikhaara nahin hai
wahan sab ko apna banana hai 'mazhar'
jahan aaj koi hamara nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.