jise tu KHamushi samjha hai iztirab samajh
jise tu KHamushi samjha hai iztirab samajh
Sagheer Ahmad Sagheer
MORE BYSagheer Ahmad Sagheer
jise tū ḳhāmushī samjhā hai iztirāb samajh
maiñ kar rahā huuñ ye tujh se jo ijtināb samajh
hamārā honā na honā agar barābar hai
kisī ko aa.egā kaise tirā hisāb samajh
maiñ achchhā bantā huā dekh nisf rah gayā huuñ
maiñ ab bhī achchhā nahīñ huuñ to le ḳharāb samajh
ḳhirad kī maan ke samjhā thā kuchh haqīqat ko
junūñ ba-zid hai haqīqat ko bhī sarāb samajh
jo terī baat pe kuchh bhī nahīñ kahā maiñ ne
isī ko kaafī samajh le yahī javāb samajh
koī to ḳhvāb meñ aa kar kahe ki mere ho
koī to ḳhvāb sunā.e kahe ki ḳhvāb samajh
ye ḳhush-nasībī har ik ko kahāñ mayassar hai
'saġhīr' saath hai tere to ye savāb samajh
jise tu KHamushi samjha hai iztirab samajh
main kar raha hun ye tujh se jo ijtinab samajh
hamara hona na hona agar barabar hai
kisi ko aaega kaise tera hisab samajh
main achchha banta hua dekh nisf rah gaya hun
main ab bhi achchha nahin hun to le KHarab samajh
KHirad ki man ke samjha tha kuchh haqiqat ko
junun ba-zid hai haqiqat ko bhi sarab samajh
jo teri baat pe kuchh bhi nahin kaha main ne
isi ko kafi samajh le yahi jawab samajh
koi to KHwab mein aa kar kahe ki mere ho
koi to KHwab sunae kahe ki KHwab samajh
ye KHush-nasibi har ek ko kahan mayassar hai
'saghir' sath hai tere to ye sawab samajh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.