jism apna hai jaan parai hai
jism apnā hai jaañ parā.ī hai
baat ab kuchh samajh meñ aa.ī hai
sach ke kahne meñ kyā burā.ī hai
ham ne dānista maat khaa.ī hai
qurbatoñ kā guzar gayā mausam
ab to qismat meñ bas judā.ī hai
zindagī ashk-o-ḳhūñ ke tājir se
lazzat-e-ġham ḳharīd laa.ī hai
bārhā apne ḳhuun se ham ne
sham.a-e-fikr-o-nazar jalā.ī hai
tishnagī bhuuk ashk dard-o-alam
merī din bhar kī bas kamā.ī hai
sahn-e-gulshan se phir nasīm-e-‘sahar’
nik.hat-e-gul churā ke laa.ī hai
jism apna hai jaan parai hai
baat ab kuchh samajh mein aai hai
sach ke kahne mein kya burai hai
hum ne danista mat khai hai
qurbaton ka guzar gaya mausam
ab to qismat mein bas judai hai
zindagi ashk-o-KHun ke tajir se
lazzat-e-gham KHarid lai hai
barha apne KHun se hum ne
shama-e-fikr-o-nazar jalai hai
tishnagi bhuk ashk dard-o-alam
meri din bhar ki bas kamai hai
sahn-e-gulshan se phir nasim-e-‘sahar’
nikhat-e-gul chura ke lai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.