jism baqi hai jaan Khaali hai
jism baaqī hai jaan ḳhālī hai
aadmī se makān ḳhālī hai
barf meñ qaid dhuup ke panchhī
par salāmat uḌaan ḳhālī hai
bām-o-dar kī fazā hai barfīlī
chāñd se āsmān ḳhālī hai
nok-e-shamshīr likh rahī hai kitāb
har qalam kī dukān ḳhālī hai
ab kisī aañkh meñ nahīñ shoḳhī
tiir se har kamān ḳhālī hai
be-surī bāñsurī kanhaiyā kī
dard kī lai se taan ḳhālī hai
ek se ek log haiñ 'hāmī'
ye na samjho jahān ḳhālī hai
jism baqi hai jaan KHali hai
aadmi se makan KHali hai
barf mein qaid dhup ke panchhi
par salamat uDan KHali hai
baam-o-dar ki faza hai barfili
chand se aasman KHali hai
nok-e-shamshir likh rahi hai kitab
har qalam ki dukan KHali hai
ab kisi aankh mein nahin shoKHi
tir se har kaman KHali hai
be-suri bansuri kanhaiya ki
dard ki lai se tan KHali hai
ek se ek log hain 'hami'
ye na samjho jahan KHali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.