jism ka bojh kam kiya jae
jism kā bojh kam kiyā jaa.e
sar hamārā qalam kiyā jaa.e
chashm-e-ḳhūnāb dekhnā hai agar
ḳhuun paanī meñ zam kiyā jaa.e
sirf itnā sā mashvara hai mirā
har kahīñ sar na ḳham kiyā jaa.e
āñsuoñ se likheñ fasāna-e-ġham
thoḌā kāġhaz bhī nam kiyā jaa.e
aa ga.e haiñ vo ḳhvāb-gāh meñ ab
in charāġhoñ ko kam kiyā jaa.e
ab bhī kuchh e'tirāz hai mujh ko
ġham dobāra raqam kiyā jaa.e
ek shaitān ne kahā 'shākir'
ab mujhe mohtaram kiyā jaa.e
jism ka bojh kam kiya jae
sar hamara qalam kiya jae
chashm-e-KHunab dekhna hai agar
KHun pani mein zam kiya jae
sirf itna sa mashwara hai mera
har kahin sar na KHam kiya jae
aansuon se likhen fasana-e-gham
thoDa kaghaz bhi nam kiya jae
aa gae hain wo KHwab-gah mein ab
in charaghon ko kam kiya jae
ab bhi kuchh e'tiraaz hai mujh ko
gham dobara raqam kiya jae
ek shaitan ne kaha 'shakir'
ab mujhe mohtaram kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.