Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jism ka ghar hi gira hai to na jaan Thahregi

R P Shokh

jism ka ghar hi gira hai to na jaan Thahregi

R P Shokh

MORE BYR P Shokh

    jism ghar girā hai to na jaañ Thahregī

    yaad aa.ī bhī kisī to kahāñ Thahregī

    thak ke baiThā huuñ magar zindagī bhāgī jaa.e

    maiñ chalā jā.ūñgā to umr-e-ravāñ Thahregī

    us ke dar se jo uThe shahr se phir kyā matlab

    kisī sahrā meñ ab naql-e-makāñ Thahregī

    bhuul kar bhī na bhulānā use ai dil varna

    ye subuk-doshī bhī ik bār-e-garāñ Thahregī

    ḳhud pe har rut ko guzarte hue dekhā thā magar

    kyā ḳhabar thī ki yahīñ ek ḳhizāñ Thahregī

    jism ka ghar hi gira hai to na jaan Thahregi

    yaad aai bhi kisi ki to kahan Thahregi

    thak ke baiTha hun magar zindagi bhagi jae

    main chala jaunga to umr-e-rawan Thahregi

    us ke dar se jo uThe shahr se phir kya matlab

    kisi sahra mein hi ab naql-e-makan Thahregi

    bhul kar bhi na bhulana use ai dil warna

    ye subuk-doshi bhi ek bar-e-garan Thahregi

    KHud pe har rut ko guzarte hue dekha tha magar

    kya KHabar thi ki yahin ek KHizan Thahregi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now