jism ka jaise jaan se rishta
jism kā jaise jaan se rishta
merā urdu zabān se rishta
gul kā jo gulsitān se rishta
merā hindostān se rishta
us kā hai kul jahān se rishta
jis kā amn-o-amān se rishta
bhed khulne pe hogī rusvā.ī
toḌ de jhūTī shaan se rishta
un paroñ ko sañbhāl kar rakhnā
jo nibāheñ uḌaan se rishta
hausloñ ne bulandiyāñ pā.īñ
juḌ gayā jab chaTān se rishta
vo mujhe bhaa.ī jaise lagte haiñ
joḌte haiñ jo maan se rishta
toḌ bandhan 'sirāj' sarhad ke
joḌ saare jahān se rishta
jism ka jaise jaan se rishta
mera urdu zaban se rishta
gul ka jo gulsitan se rishta
mera hindostan se rishta
us ka hai kul jahan se rishta
jis ka amn-o-aman se rishta
bhed khulne pe hogi ruswai
toD de jhuTi shan se rishta
un paron ko sanbhaal kar rakhna
jo nibahen uDan se rishta
hauslon ne bulandiyan pain
juD gaya jab chaTan se rishta
wo mujhe bhai jaise lagte hain
joDte hain jo man se rishta
toD bandhan 'siraj' sarhad ke
joD sare jahan se rishta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.