jism ke ghaar ke dahane par
jism ke ġhaar ke dahāne par
vo hī kirdār thā nishāne par
kyā muqābil thī ab ke bhī dīvār
koī bolā nahīñ bulāne par
ik ma.ānī ne aur dam toḌā
ain alfāz ke muhāne par
sā.ebāñ ke tale kahāñ rahtī
dhuup jā baiThī shāmiyāne par
vo bhī īmān tak chalā aayā
aa ga.e ham bhī muskurāne par
shor tanhā.iyāñ bhī kartī haiñ
ye khulā koī yaad aane par
rat-jagā dhuñdh ḳhvāb sargoshī
itne mehmāñ ġharīb-ḳhāne par
zaḳhm kā vo hī roz kā ronā
zabt kī zid bhī āzmāne par
laao nākāmiyoñ kā jaam idhar
ḳhaak Daalo bhī ab zamāna par
ḳhud ko ḳhud meñ sameT kar uThiye
aa ga.ī dhuup bhī sirhāne par
mutma.in aql kyoñ nahīñ āḳhir
lag gayā dil bhī jab Thikāne par
jism ke ghaar ke dahane par
wo hi kirdar tha nishane par
kya muqabil thi ab ke bhi diwar
koi bola nahin bulane par
ek maani ne aur dam toDa
ain alfaz ke muhane par
saeban ke tale kahan rahti
dhup ja baiThi shamiyane par
wo bhi iman tak chala aaya
aa gae hum bhi muskurane par
shor tanhaiyan bhi karti hain
ye khula koi yaad aane par
rat-jaga dhundh KHwab sargoshi
itne mehman gharib-KHane par
zaKHm ka wo hi roz ka rona
zabt ki zid bhi aazmane par
lao nakaamiyon ka jam idhar
KHak Dalo bhi ab zamana par
KHud ko KHud mein sameT kar uThiye
aa gai dhup bhi sirhane par
mutmain aql kyon nahin aaKHir
lag gaya dil bhi jab Thikane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.