jism ke is ghaar mein dikhta hai sab
jism ke is ġhaar meñ dikhtā hai sab
ret ke ambār meñ dikhtā hai sab
chāñdnī kā nuur sūraj kā ġhurūr
mujh ko mere yaar meñ dikhtā hai sab
TūTtī ummīd martā hausla
Dheh rahī dīvār meñ dikhtā hai sab
maut ke dar zindagī kā intizār
dekhiye bīmār meñ dikhtā hai sab
aa.ine saare haTā kar rakh diye
ghar kī har dīvār meñ dikhtā hai sab
har safar manzil se kitnā duur hai
vaqt kī raftār meñ dikhtā hai sab
zindagī kī kyā anā se jang thī
is phaTī dastār meñ dikhtā hai sab
qurbateñ rishta mohabbat dostī
āj-kal bāzār meñ dikhtā hai sab
huuñ bahut gum-sum bahut chup-chāp par
barf ke angār meñ dikhtā hai sab
sab chhupā letī hai dilkash guftugū
haañ magar kirdār meñ dikhtā hai sab
un ko to 'sāhil' se sab kuchh chāhiye
aur hameñ mañjdhār meñ dikhtā hai sab
jism ke is ghaar mein dikhta hai sab
ret ke ambar mein dikhta hai sab
chandni ka nur suraj ka ghurur
mujh ko mere yar mein dikhta hai sab
TuTti ummid marta hausla
Dheh rahi diwar mein dikhta hai sab
maut ke dar zindagi ka intizar
dekhiye bimar mein dikhta hai sab
aaine sare haTa kar rakh diye
ghar ki har diwar mein dikhta hai sab
har safar manzil se kitna dur hai
waqt ki raftar mein dikhta hai sab
zindagi ki kya ana se jang thi
is phaTi dastar mein dikhta hai sab
qurbaten rishta mohabbat dosti
aaj-kal bazar mein dikhta hai sab
hun bahut gum-sum bahut chup-chap par
barf ke angar mein dikhta hai sab
sab chhupa leti hai dilkash guftugu
han magar kirdar mein dikhta hai sab
un ko to 'sahil' se sab kuchh chahiye
aur hamein manjdhaar mein dikhta hai sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.