jism ke martaban se aage
jism ke martabān se aage
zā.iqe se zabān se aage
tiir saare kamān se aage
ik ḳhalish aur jaan se aage
ik parinda lahū meñ tar goyā
ik tasavvur uḌaan se aage
ek bastī yaqīñ-faroshoñ kī
ik ilāqa gumān se aage
ek fariyād nā-rasā.ī kī
ik zamīn āsmān se aage
ik safar aur hai tah-e-girdāb
ik junūñ bādbān se aage
ek 'ḳhurshīd' kī shahādat par
shahr-e-zulmat bayān se aage
jism ke martaban se aage
zaiqe se zaban se aage
tir sare kaman se aage
ek KHalish aur jaan se aage
ek parinda lahu mein tar goya
ek tasawwur uDan se aage
ek basti yaqin-faroshon ki
ek ilaqa guman se aage
ek fariyaad na-rasai ki
ek zamin aasman se aage
ek safar aur hai tah-e-girdab
ek junun baadban se aage
ek 'KHurshid' ki shahadat par
shahr-e-zulmat bayan se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.