jism Khaali hai jaan hai Khaali
jism ḳhālī hai jaan hai ḳhālī
zindagī kā makān hai ḳhālī
taare ummīd ke nahīñ koī
aas kā āsmān hai ḳhālī
pyaas nākām lauT aa.ī hai
mai kī ik ik dukān hai ḳhālī
dil paḌā ro rahā hai khaa.ī meñ
ishratoñ kī chaTān hai ḳhālī
boltā maiñ bhī huuñ kahā kis ne
merī apnī zabān hai ḳhālī
kaun degā dilāsā ai 'shāġhil'
pyaar tanhā jahān hai ḳhālī
jism KHali hai jaan hai KHali
zindagi ka makan hai KHali
tare ummid ke nahin koi
aas ka aasman hai KHali
pyas nakaam lauT aai hai
mai ki ek ek dukan hai KHali
dil paDa ro raha hai khai mein
ishraton ki chaTan hai KHali
bolta main bhi hun kaha kis ne
meri apni zaban hai KHali
kaun dega dilasa ai 'shaghil'
pyar tanha jahan hai KHali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.