jism ki qaid mein hun kashmakash-e-zat mein hun
jism kī qaid meñ huuñ kashmakash-e-zāt meñ huuñ
ek sikke kī tarah kāsa-e-ḳhairāt meñ huuñ
tum se milne ke liye tum se judā hotā huuñ
kyā karūñ jān-e-vafā narġha-e-hālāt meñ huuñ
kal kā din kyoñ na rakheñ tark-e-ta.alluq ke liye
aaj kuchh maiñ bhī tumhārī tarah jazbāt meñ huuñ
kār-e-tesha bhī vahī hai mirā pesha bhī vahī
maiñ abhī daur-e-ġhulāmī hī ke hālāt meñ huuñ
zarre zarre mire uTh uTh ke qadam lene lage
vādī-e-qais meñ kuchh aise maqāmāt meñ huuñ
ab mirī samt koī aañkh uThātā bhī nahīñ
jab se dekhā hai tujhe maiñ bhī hijābāt meñ huuñ
parda-e-sher se bole hai mirā yaar 'sanā'
maiñ hī qur.ān meñ injīl meñ taurāt meñ hoñ
jism ki qaid mein hun kashmakash-e-zat mein hun
ek sikke ki tarah kasa-e-KHairaat mein hun
tum se milne ke liye tum se juda hota hun
kya karun jaan-e-wafa nargha-e-haalat mein hun
kal ka din kyon na rakhen tark-e-talluq ke liye
aaj kuchh main bhi tumhaari tarah jazbaat mein hun
kar-e-tesha bhi wahi hai mera pesha bhi wahi
main abhi daur-e-ghulami hi ke haalat mein hun
zarre zarre mere uTh uTh ke qadam lene lage
wadi-e-qais mein kuchh aise maqamat mein hun
ab meri samt koi aankh uThata bhi nahin
jab se dekha hai tujhe main bhi hijabaat mein hun
parda-e-sher se bole hai mera yar 'sana'
main hi quran mein injil mein tauraat mein hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.