jism ki qaid se sab rang tumhaare nikal aae
jism kī qaid se sab rañg tumhāre nikal aa.e
merī dastak se to tum aur bhī pyāre nikal aa.e
us ke paanī ne diyā hukm to ham Duub ga.e
us kī miTTī ne pukārā to kināre nikal aa.e
ishq pahuñchā jo mire jism ke darvāze par
ḳhair-maqdam ke liye ḳhuun ke dhāre nikal aa.e
us kī āñkhoñ ne yaqīñ kuchh na dilāyā phir bhī
sher kahne ke liye kuchh to ishāre nikal aa.e
shahr kī bhiiḌ meñ gum ho ga.e saare ma.ashūq
ḳhair se ishq miyāñ tum to hamāre nikal aa.e
'farhat-ehsās' to bas Duub ga.e the lekin
beach mañjdhār meñ do-chār kināre nikal aa.e
jism ki qaid se sab rang tumhaare nikal aae
meri dastak se to tum aur bhi pyare nikal aae
us ke pani ne diya hukm to hum Dub gae
us ki miTTi ne pukara to kinare nikal aae
ishq pahuncha jo mere jism ke darwaze par
KHair-maqdam ke liye KHun ke dhaare nikal aae
us ki aankhon ne yaqin kuchh na dilaya phir bhi
sher kahne ke liye kuchh to ishaare nikal aae
shahr ki bhiD mein gum ho gae sare mashuq
KHair se ishq miyan tum to hamare nikal aae
'farhat-ehsas' to bas Dub gae the lekin
beach manjdhaar mein do-chaar kinare nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.