jism ko is dil se kya hai istifada kya kahun
jism ko is dil se kyā hai istifāda kyā kahūñ
tang hai jab har tarah se to kushāda kyā kahūñ
jhuuT ko pākīzgī kitnī karūñ tere atā
ḳhāmushī meñ huuñ maiñ ab is se ziyāda kyā kahūñ
DhūñDte ho jeb mere jism meñ kyoñ be-sabab
dil kā ye paivand hai is ko labāda kyā kahūñ
dil churānā be-ruḳhī karnā hunar bharpūr haiñ
aur phir tere ishāre ko bhī vā'da kyā kahūñ
chāñdnī ne kal kī shab puurā badan jhulsā diyā
chāñd ne mere kiyā thā kyā irāda kyā kahūñ
ghar se niklā maiñ to āvāra huā buDDhā nahīñ
vo falak-zāda huā maiñ ḳhāk-zāda kyā kahūñ
jism ko is dil se kya hai istifada kya kahun
tang hai jab har tarah se to kushada kya kahun
jhuT ko pakizgi kitni karun tere ata
KHamushi mein hun main ab is se ziyaada kya kahun
DhunDte ho jeb mere jism mein kyon be-sabab
dil ka ye paiwand hai is ko labaada kya kahun
dil churana be-ruKHi karna hunar bharpur hain
aur phir tere ishaare ko bhi wa'da kya kahun
chandni ne kal ki shab pura badan jhulsa diya
chand ne mere kiya tha kya irada kya kahun
ghar se nikla main to aawara hua buDDha nahin
wo falak-zada hua main KHak-zada kya kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.