jism ko jaan ka sira parda-e-ranai kar
jism ko jaañ kā sirā parda-e-ra.anā.ī kar
saa.e ko dhuup meñ phailā ke na harjā.ī kar
fikr ko zehn kī dīvār pe tasvīr banā
aañkh ko mad.h-sarā dil ko tamāshā.ī kar
haiñ tirī zaat meñ bhī bū-qalamūñ hangāme
tū ise sirf tamāsha-gah-e-tanhā.ī kar
shahr aur shahr tirā naam nikaltā jaa.e
ai sitamgar mirī bhī khol ke rusvā.ī kar
ain mumkin hai ki ho jaa.e yahī sajda qubūl
apnī dahlīz pe ab nāsiya-farsā.ī kar
marne vāloñ ko jalāne kā takalluf kyā hai
jiite jī mar ga.e jo un kī masīhā.ī kar
'shaukat' ab āñsuoñ meñ bhiig rahī hai āvāz
dard bahne lagā hai zamzama-ārā.ī kar
jism ko jaan ka sira parda-e-ranai kar
sae ko dhup mein phaila ke na harjai kar
fikr ko zehn ki diwar pe taswir bana
aankh ko madh-sara dil ko tamashai kar
hain teri zat mein bhi bu-qalamun hangame
tu ise sirf tamasha-gah-e-tanhai kar
shahr aur shahr tera nam nikalta jae
ai sitamgar meri bhi khol ke ruswai kar
ain mumkin hai ki ho jae yahi sajda qubul
apni dahliz pe ab nasiya-farsai kar
marne walon ko jalane ka takalluf kya hai
jite ji mar gae jo un ki masihai kar
'shaukat' ab aansuon mein bhig rahi hai aawaz
dard bahne laga hai zamzama-arai kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.