jism ko jaan ka sira parda-e-ranai kar
jism ko jaañ kā sirā parda-e-ra.anā.ī kar
saa.e ko dhuup kī mānind na harjā.ī kar
fikr ko zehn kī dīvār pe tasvīr banā
aañkh ko mad.h-sarā dil ko tamāshā.ī kar
haiñ tirī zaat meñ bhī bū-qalamūñ hañgāme
tū magar ḳhud ko zarā ḳhūgar-e-tanhā.ī kar
shahr-dar-shahr tirā naam nikaltā jaa.e
ai sitamgar mirī jī khol ke rusvā.ī kar
'ain-mumkin hai ki ho jaa.e yahī sajda qubūl
apnī dahlīz pe tū nāsiya-farsā.ī kar
marne vāloñ ko jilāne kā takalluf kyā hai
jiite jī mar ga.e jo un kī masīhā.ī kar
'shaukat' ab āñsuoñ meñ bhiig rahī hai āvāz
dard bahne lagā hai zamzama-ārā.ī kar
jism ko jaan ka sira parda-e-ranai kar
sae ko dhup ki manind na harjai kar
fikr ko zehn ki diwar pe taswir bana
aankh ko madh-sara dil ko tamashai kar
hain teri zat mein bhi bu-qalamun hangame
tu magar KHud ko zara KHugar-e-tanhai kar
shahr-dar-shahr tera nam nikalta jae
ai sitamgar meri ji khol ke ruswai kar
'ain-mumkin hai ki ho jae yahi sajda qubul
apni dahliz pe tu nasiya-farsai kar
marne walon ko jilane ka takalluf kya hai
jite ji mar gae jo un ki masihai kar
'shaukat' ab aansuon mein bhig rahi hai aawaz
dard bahne laga hai zamzama-arai kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.