jism ko jine ki aazadi deti hain
jism ko jiine kī āzādī detī haiñ
sāñseñ har pal hī qurbānī detī haiñ
rāteñ saarī karvaT meñ hī biit rahīñ
yādeñ bhī kitnī bechainī detī haiñ
jo rāheñ ḳhud meñ hī be-manzil sī hoñ
aisī rāheñ nākāmī hī detī haiñ
kaise bhī par mujh ko kuchh sapne to deñ
āñkheñ kyā keval bīnā.ī detī haiñ
'mīt' mujhe aksar rātoñ meñ lagtā hai
rūheñ mujh ko āvāzeñ sī detī haiñ
jism ko jine ki aazadi deti hain
sansen har pal hi qurbani deti hain
raaten sari karwaT mein hi bit rahin
yaaden bhi kitni bechaini deti hain
jo rahen KHud mein hi be-manzil si hon
aisi rahen nakaami hi deti hain
kaise bhi par mujh ko kuchh sapne to den
aankhen kya kewal binai deti hain
'mit' mujhe aksar raaton mein lagta hai
ruhen mujh ko aawazen si deti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.