jism ko ruh ki sarhad pe bula kar dekhen
jism ko ruuh kī sarhad pe bulā kar dekheñ
kyuuñ na ā.īne ke andar kabhī jā kar dekheñ
jin kī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb nahīñ hai vo log
sūkhe peḌoñ se parinde hī uḌā kar dekheñ
ḳhvāb ham din meñ pakaḌ leñ koī jugnū jaisā
bārhā raat meñ phir us ko jilā kar dekheñ
is meñ girdāb bahāv na kaTāv hai kahīñ
kyuuñ na tālāb meñ ik ashk girā kar dekheñ
is se pahle ki ḳhamoshī hī sī dam ghuTne lage
TūTtī saañs kī zanjīr hilā kar dekheñ
jism ko ruh ki sarhad pe bula kar dekhen
kyun na aaine ke andar kabhi ja kar dekhen
jin ki aankhon mein koi KHwab nahin hai wo log
sukhe peDon se parinde hi uDa kar dekhen
KHwab hum din mein pakaD len koi jugnu jaisa
barha raat mein phir us ko jila kar dekhen
is mein girdab bahaw na kaTaw hai kahin
kyun na talab mein ek ashk gira kar dekhen
is se pahle ki KHamoshi hi si dam ghuTne lage
TuTti sans ki zanjir hila kar dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.