jism mein KHun ki rawani ka maza aaega
jism meñ ḳhuuñ kī ravānī kā maza aa.egā
ishq hote hī javānī kā maza aa.egā
josh guftār meñ kuchh aur baḌhā lo apne
tab hī kuchh sho.ala-bayānī kā maza aa.egā
aaj ham donoñ nahā.eñge baḌī shiddat se
aaj barsāt ke paanī kā maza aa.egā
bārisheñ vaqt pe khetoñ ko harā kar deñ to
sab kisānoñ ko kisānī kā maza aa.egā
aaj to muuD hai mahfil bhī hai 'mohsin'-sāhab
aaj añgūr ke paanī kā maza aa.egā
jism mein KHun ki rawani ka maza aaega
ishq hote hi jawani ka maza aaega
josh guftar mein kuchh aur baDha lo apne
tab hi kuchh shoala-bayani ka maza aaega
aaj hum donon nahaenge baDi shiddat se
aaj barsat ke pani ka maza aaega
barishen waqt pe kheton ko hara kar den to
sab kisanon ko kisani ka maza aaega
aaj to muD hai mahfil bhi hai 'mohsin'-sahab
aaj angur ke pani ka maza aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.