jism mein thoDi jaan baqi hai
jism meñ thoḌī jaan baaqī hai
āḳhirī imtihān baaqī hai
ḳhāndānī nishān baaqī hai
sāmne pān-dān baaqī hai
sab makīñ ho ga.e haiñ ḳhuld-nashīñ
ab to ḳhālī makān baaqī hai
kaisī kaisī aziim thiiñ qaumeñ
jin kī ab dāstān baaqī hai
thā vahāñ shaah kā mahal shāyad
us galī par kamān baaqī hai
ham ne un ko yaqīñ dilāyā thā
phir bhī un kā gumān baaqī hai
us ne pheñke zabān ke ḳhanjar
aaj tak bhī nishān baaqī hai
zalzala ek aa gayā thā vahāñ
sar pe ab āsmān baaqī hai
miT ga.e the jo dīn-e-haq ke liye
aaj tak un kī shaan baaqī hai
dīn-e-haq kā payām zinda hai
is zamīñ par qur.ān baaqī hai
TukḌe TukḌe hue garebāñ ke
phir bhī kyoñ khīñch-tān baaqī hai
jism mein thoDi jaan baqi hai
aaKHiri imtihan baqi hai
KHandani nishan baqi hai
samne pan-dan baqi hai
sab makin ho gae hain KHuld-nashin
ab to KHali makan baqi hai
kaisi kaisi azim thin qaumen
jin ki ab dastan baqi hai
tha wahan shah ka mahal shayad
us gali par kaman baqi hai
hum ne un ko yaqin dilaya tha
phir bhi un ka guman baqi hai
us ne phenke zaban ke KHanjar
aaj tak bhi nishan baqi hai
zalzala ek aa gaya tha wahan
sar pe ab aasman baqi hai
miT gae the jo din-e-haq ke liye
aaj tak un ki shan baqi hai
din-e-haq ka payam zinda hai
is zamin par quran baqi hai
TukDe TukDe hue gareban ke
phir bhi kyon khinch-tan baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.