jism-o-jaan ke hisar mein main hun
jism-o-jāñ ke hisār meñ maiñ huuñ
ik ajab se dayār meñ maiñ huuñ
shabnamī taaj hai mire sar par
kitnī dilkash phuvār meñ maiñ huuñ
qatl-o-ġhārat-garī tirā pesha
amn ke kārobār meñ maiñ huuñ
tāzgī mere ruḳh se zāhir hai
lamha-e-ḳhush-gavār meñ maiñ huuñ
qalb ko e'tirāz bejā hai
zehn ke iḳhtiyār meñ maiñ huuñ
mujh ko us paar kā sunāo haal
bahr ke is kanār meñ maiñ huuñ
paas ḳhush-fahmiyoñ kī daldal hai
ek tārīk ġhaar meñ maiñ huuñ
ai 'nazar' Dar ḳhizāñ kā ghere hai
jab ki shahr-e-bahār meñ maiñ huuñ
jism-o-jaan ke hisar mein main hun
ek ajab se dayar mein main hun
shabnami taj hai mere sar par
kitni dilkash phuwar mein main hun
qatl-o-ghaarat-gari tera pesha
amn ke karobar mein main hun
tazgi mere ruKH se zahir hai
lamha-e-KHush-gawar mein main hun
qalb ko e'tiraaz beja hai
zehn ke iKHtiyar mein main hun
mujh ko us par ka sunao haal
bahr ke is kanar mein main hun
pas KHush-fahmiyon ki daldal hai
ek tarik ghaar mein main hun
ai 'nazar' Dar KHizan ka ghere hai
jab ki shahr-e-bahaar mein main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.