jism-o-jaan rakhta hun lekin ye hawala kuchh nahin
jism-o-jāñ rakhtā huuñ lekin ye havāla kuchh nahīñ
aap kī nisbat hai sab kuchh merā apnā kuchh nahīñ
ishq jis kūche meñ rahtā hai vo kūcha hai bahisht
aql jis duniyā meñ rahtī hai vo duniyā kuchh nahīñ
kitne sāda-lauh the agle zamāne ke vo log
kah diyā jo dil meñ aayā dil meñ rakkhā kuchh nahīñ
dekhne vaalā koī hotā to ham bhī khelte
the tamāshe saikḌoñ lekin dikhāyā kuchh nahīñ
aa ke jo sairāb kartī hai zamīn-e-ḳhushk ko
asl meñ hai mauj-e-dariyā shor-e-dariyā kuchh nahīñ
is taraf hai merī vahshat us taraf terā jamāl
vo haqīqat dā.imī hai ye tamāshā kuchh nahīñ
jaane kis kī justujū meñ thī hayāt-e-muḳhtasar
umr-bhar bhāgā kiye aur haath aayā kuchh nahīñ
ye hasīñ manzar ye bahr-o-bar ye sab māh-o-nujūm
terī qudrat kā karishma haiñ kisī kā kuchh nahīñ
pesh karnā hai to us ko pesh kiije dil 'ziyā'
yaar kī nazroñ meñ duniyā kā asāsa kuchh nahīñ
jism-o-jaan rakhta hun lekin ye hawala kuchh nahin
aap ki nisbat hai sab kuchh mera apna kuchh nahin
ishq jis kuche mein rahta hai wo kucha hai bahisht
aql jis duniya mein rahti hai wo duniya kuchh nahin
kitne sada-lauh the agle zamane ke wo log
kah diya jo dil mein aaya dil mein rakkha kuchh nahin
dekhne wala koi hota to hum bhi khelte
the tamashe saikDon lekin dikhaya kuchh nahin
aa ke jo sairab karti hai zamin-e-KHushk ko
asl mein hai mauj-e-dariya shor-e-dariya kuchh nahin
is taraf hai meri wahshat us taraf tera jamal
wo haqiqat daimi hai ye tamasha kuchh nahin
jaane kis ki justuju mein thi hayat-e-muKHtasar
umr-bhar bhaga kiye aur hath aaya kuchh nahin
ye hasin manzar ye bahr-o-bar ye sab mah-o-nujum
teri qudrat ka karishma hain kisi ka kuchh nahin
pesh karna hai to us ko pesh kije dil 'ziya'
yar ki nazron mein duniya ka asasa kuchh nahin
- Book : Pas-e-Gard-e-Safar (Pg. 49)
- Author : Zia Farooqui
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.