Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jism par apne jab qaba hi nahin

Wahid Nazeer

jism par apne jab qaba hi nahin

Wahid Nazeer

MORE BYWahid Nazeer

    jism par apne jab qabā nahīñ

    āstīnoñ mas.ala nahīñ

    ab kahānī hue adab ādāb

    ghar se niklūñ ye hausla nahīñ

    tark tāḳhīr 'uzr sahv qazā

    dil ke mashrab meñ ye ravā nahīñ

    pahle galiyāñ bhī Tok detī thiiñ

    ab to ghar ko bhī vāsta nahīñ

    chehra chehra ġhubār-ālūda

    aa.ina koī aa.ina nahīñ

    jahl meñ e'timād thā itnā

    'ilm ne aage kuchh kahā nahīñ

    'umr bhar jo kiyā na karnā thā

    aur jo karnā thā vo kiyā nahīñ

    'ishq meñ jaan bhī saktī hai

    kaisā pāgal hai sochtā nahīñ

    ab to sar se guzar gayā paanī

    kahne sunñe ko kuchh bachā nahīñ

    zo'm itnā jo iḳhtiyār pe hai

    kyā samajhte ho tum ḳhudā nahīñ

    do din meñ sañbhal ga.ī duniyā

    jaise 'vāhid-nazīr' thā nahīñ

    jism par apne jab qaba hi nahin

    aastinon ka masala hi nahin

    ab kahani hue adab aadab

    ghar se niklun ye hausla hi nahin

    tark taKHir 'uzr sahw qaza

    dil ke mashrab mein ye rawa hi nahin

    pahle galiyan bhi Tok deti thin

    ab to ghar ko bhi wasta hi nahin

    chehra chehra ghubar-aluda

    aaina koi aaina hi nahin

    jahl mein e'timad tha itna

    'ilm ne aage kuchh kaha hi nahin

    'umr bhar jo kiya na karna tha

    aur jo karna tha wo kiya hi nahin

    'ishq mein jaan ja bhi sakti hai

    kaisa pagal hai sochta hi nahin

    ab to sar se guzar gaya pani

    kahne sunne ko kuchh bacha hi nahin

    zo'm itna jo iKHtiyar pe hai

    kya samajhte ho tum KHuda hi nahin

    do hi din mein sanbhal gai duniya

    jaise 'wahid-nazir' tha hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now