jism par sabun tha pani ghusl-KHane se gaya
jism par sābun thā paanī ġhusl-ḳhāne se gayā
aap kī mistake Thahrī maiñ nahāne se gayā
ik minister ne sajā.ī mahfil-e-raqs-o-surūr
nāchne vaalī kā bil qaumī ḳhazāne se gayā
qādrī ne DaañT kuchh aisī pilā.ī sher ko
sher muslim-league kā thā dum hilāne se gayā
aa gayā thā ek shā.er dost pakistan se
chaa.e se Thahrā rahā whiskey pilāne se gayā
film taqsīm-e-virāsat kā yahī the-end hai
dard kuchh aisā thā jo gardan dabāne se gayā
ik ġharīb ustād kī tuition Thikāne lag ga.ī
mājida dulhan banī teacher paḌhāne se gayā
us ke gāloñ par ka.ī dast-e-hinā.ī sabt haiñ
ishq kā nashsha thā āḳhir maar khāne se gayā
itnī mahñgā.ī hai biryānī koī laatā nahīñ
phir koī bhūkā mujāvar āstāne se gayā
us kī mayyat meñ sabhī aḳhbār paḌh paḌh kar ga.e
'ḳhālid'-e-irfān shā.er thā bulāne se gayā
jism par sabun tha pani ghusl-KHane se gaya
aap ki mistake Thahri main nahane se gaya
ek minister ne sajai mahfil-e-raqs-o-surur
nachne wali ka bil qaumi KHazane se gaya
qadri ne DanT kuchh aisi pilai sher ko
sher muslim-league ka tha dum hilane se gaya
aa gaya tha ek shaer dost pakistan se
chae se Thahra raha whiskey pilane se gaya
film taqsim-e-wirasat ka yahi the-end hai
dard kuchh aisa tha jo gardan dabane se gaya
ek gharib ustad ki tuition Thikane lag gai
majida dulhan bani teacher paDhane se gaya
us ke galon par kai dast-e-hinai sabt hain
ishq ka nashsha tha aaKHir mar khane se gaya
itni mahngai hai biryani koi lata nahin
phir koi bhuka mujawar aastane se gaya
us ki mayyat mein sabhi aKHbar paDh paDh kar gae
'KHalid'-e-irfan shaer tha bulane se gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.