jism rota hai ruh gati hai
jism rotā hai ruuh gaatī hai
ab tirī yaad kyoñ satātī hai
ye tire zaḳhm yuuñ nahīñ bharte
tū musalsal jo choT khātī hai
be-sabab aañkh us kī bhartī hai
vo binā baat muskurātī hai
us se kah do ki 'ishq marham hai
kaise chhūne se chhaTpaTātī hai
zindagī rā.egāñ magar phir bhī
saañs ye hai ki chaltī jaatī hai
shukr maano ki ik 'adad laḌkī
apnā dukhḌā tumheñ sunātī hai
yaar rādhā hai shyām harjā.ī
tū 'abas Tesue bahātī hai
jism rota hai ruh gati hai
ab teri yaad kyon satati hai
ye tere zaKHm yun nahin bharte
tu musalsal jo choT khati hai
be-sabab aankh us ki bharti hai
wo bina baat muskuraati hai
us se kah do ki 'ishq marham hai
kaise chhune se chhaTpaTati hai
zindagi raegan magar phir bhi
sans ye hai ki chalti jati hai
shukr mano ki ek 'adad laDki
apna dukhDa tumhein sunati hai
yar radha hai shyam harjai
tu 'abas Tesue bahati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.