jism se ho ke par aae hum
jism se ho ke paar aa.e ham
ruuh bistar pe haar aa.e ham
le ke dil meñ ġhubār aa.e ham
dekh parvardigār aa.e ham
un se milne kī be-qarārī thī
mil ke bhī be-qarār aa.e ham
ik bharosa dilāne kī ḳhātir
sharm apnī utaar aa.e ham
āḳhirī baar mil ke aa.e to
us ko dil se utaar aa.e ham
ab ke ham lauT kar kahāñ jaa.eñ
ghar se ho ke farār aa.e ham
jism se ho ke par aae hum
ruh bistar pe haar aae hum
le ke dil mein ghubar aae hum
dekh parwardigar aae hum
un se milne ki be-qarari thi
mil ke bhi be-qarar aae hum
ek bharosa dilane ki KHatir
sharm apni utar aae hum
aaKHiri bar mil ke aae to
us ko dil se utar aae hum
ab ke hum lauT kar kahan jaen
ghar se ho ke farar aae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.