jism se rahguzar banate hain
jism se rahguzar banāte haiñ
aa mohabbat ko shar banāte haiñ
sirf dīvār-o-dar banāte haiñ
aur da.avā hai ghar banāte haiñ
ḳhud ko bār-e-digar banāte haiñ
aur ab soch kar banāte haiñ
aaj lakḌī ke joḌ kar taḳhte
Duub jaane kā Dar banāte haiñ
jin ke paañv vo kaaT lete haiñ
un ke jismoñ pe sar banāte haiñ
ye luTere hī mere mohsin haiñ
band galiyoñ meñ dar banāte haiñ
us ne uḌnā hai aur samtoñ meñ
aa.iye bāl-o-par banāte haiñ
ham ne jaanā nahīñ kahīñ bhī tū
kyoñ ye rāh-e-safar banāte haiñ
ab 'sabāhat' ḳhudā bane haiñ vo
ab vo shams-o-qamar banāte haiñ
jism se rahguzar banate hain
aa mohabbat ko shar banate hain
sirf diwar-o-dar banate hain
aur dawa hai ghar banate hain
KHud ko bar-e-digar banate hain
aur ab soch kar banate hain
aaj lakDi ke joD kar taKHte
Dub jaane ka Dar banate hain
jin ke panw wo kaT lete hain
un ke jismon pe sar banate hain
ye luTere hi mere mohsin hain
band galiyon mein dar banate hain
us ne uDna hai aur samton mein
aaiye baal-o-par banate hain
hum ne jaana nahin kahin bhi tu
kyon ye rah-e-safar banate hain
ab 'sabahat' KHuda bane hain wo
ab wo shams-o-qamar banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.