jism siyahi banaunga
jism siyāhī banā.ūñgā
terā harf sajā.ūñgā
tū bahtā paanī ban jā
maiñ machhlī ban jā.ūñgā
kal mausam kī hathelī par
naam tirā khudvā.ūñgā
apnā ġhubār uḌā kar maiñ
kuchh tasvīr banā.ūñgā
kisī kivāḌ kī aaḌ meñ ab
tujh ko lā ke chhupā.ūñgā
tire badan ke paanī se
maiñ sūraj chamkā.ūñgā
jism siyahi banaunga
tera harf sajaunga
tu bahta pani ban ja
main machhli ban jaunga
kal mausam ki hatheli par
nam tera khudwaunga
apna ghubar uDa kar main
kuchh taswir banaunga
kisi kiwaD ki aaD mein ab
tujh ko la ke chhupaunga
tere badan ke pani se
main suraj chamkaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.