jism thakta raha magar nikle
jism thaktā rahā magar nikle
ik safar se ka.ī safar nikle
'ishq niklā ḳhatoñ ḳhatoñ pahle
aur phir in ḳhatoñ ke par nikle
bas usī kī rahī kamī chhat par
chāñd taare to rāt-bhar nikle
aise niklā hai vo kahānī se
jism se ruuh jis qadar nikle
maut kī hī kasar bachī hai ab
ek ġham aur ye kasar nikle
jism thakta raha magar nikle
ek safar se kai safar nikle
'ishq nikla KHaton KHaton pahle
aur phir in KHaton ke par nikle
bas usi ki rahi kami chhat par
chand tare to raat-bhar nikle
aise nikla hai wo kahani se
jism se ruh jis qadar nikle
maut ki hi kasar bachi hai ab
ek gham aur ye kasar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.