jism TuTa hai jaan TuTi hai
jism TuuTā hai jaan TuuTī hai
umr bhar kī thakān TuuTī hai
vo jo phailā thā kal dhuāñ ban kar
aaj us kī uThān TuuTī hai
aisā lagtā hai shahr TuuT gayā
sab se ūñchī dukān TuuTī hai
koī dhokā thā khā liyā us ne
us ke hāthoñ zabān TuuTī hai
vo ba-zāhir hai mutma.in lekin
us ke andar kī aan TuuTī hai
raqs taarī hai saare jañgal par
koī taaza machān TuuTī hai
jism TuTa hai jaan TuTi hai
umr bhar ki thakan TuTi hai
wo jo phaila tha kal dhuan ban kar
aaj us ki uThan TuTi hai
aisa lagta hai shahr TuT gaya
sab se unchi dukan TuTi hai
koi dhoka tha kha liya us ne
us ke hathon zaban TuTi hai
wo ba-zahir hai mutmain lekin
us ke andar ki aan TuTi hai
raqs tari hai sare jangal par
koi taza machan TuTi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.