jismon ki mehrab mein rahna paDta hai
jismoñ kī mehrāb meñ rahnā paḌtā hai
ek musalsal ḳhvāb meñ rahnā paḌtā hai
apnī gahrā.ī bhī naap nahīñ sakte
aur hameñ pāyāb meñ rahnā paḌtā hai
rūhoñ par mal kar duniyā ke sannāTe
āvāzoñ ke baab meñ rahnā paḌtā hai
umDā rahtā hai jo terī āñkhoñ meñ
aise bhī sailāb meñ rahnā paḌtā hai
añgḌā.ī lete haiñ mujh meñ saat falak
āfāqī girdāb meñ rahnā paḌtā hai
janam nikal jaate haiñ ḳhud se milne meñ
ek safar nāyāb meñ rahnā paḌtā hai
jismon ki mehrab mein rahna paDta hai
ek musalsal KHwab mein rahna paDta hai
apni gahrai bhi nap nahin sakte
aur hamein payab mein rahna paDta hai
ruhon par mal kar duniya ke sannaTe
aawazon ke bab mein rahna paDta hai
umDa rahta hai jo teri aankhon mein
aise bhi sailab mein rahna paDta hai
angDai lete hain mujh mein sat falak
aafaqi girdab mein rahna paDta hai
janam nikal jate hain KHud se milne mein
ek safar nayab mein rahna paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.