jitnā koī tujh se yaar hogā
utnā hī ḳharāb o ḳhvār hogā
har roz ho roz-e-īd to bhī
tū mujh se na ham-kanār hogā
bas dil itnā taḌap na chup rah
tujh ko bhī kahīñ qarār hogā
dekhe jo koī chaman meñ tujh ko
gul us kī nazar meñ ḳhaar hogā
shikve meñ ho jis ke ḳhuun kī bū
terā hī vo dil-figār hogā
nāseh na ho girya se jo maane
merā vahī ġham-gusār hogā
jā yaar shitāb 'soz' se mil
terā use intizār hogā
jitna koi tujh se yar hoga
utna hi KHarab o KHwar hoga
har roz ho roz-e-id to bhi
tu mujh se na ham-kanar hoga
bas dil itna taDap na chup rah
tujh ko bhi kahin qarar hoga
dekhe jo koi chaman mein tujh ko
gul us ki nazar mein KHar hoga
shikwe mein ho jis ke KHun ki bu
tera hi wo dil-figar hoga
naseh na ho girya se jo mane
mera wahi gham-gusar hoga
ja yar shitab 'soz' se mil
tera use intizar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.