jitna maKHaul aaj meri zindagi ko hai
jitnā maḳhaul aaj mirī zindagī ko hai
shāyad hī is zamāne meñ hotā kisī ko hai
aage kā kuchh patā nahīñ is vaqt to unheñ
itnī hai rasm-o-rāh ki hotī kisī ko hai
ham se to pūchhne kā sabab kuchh nahīñ to kyā
jitnā hai josh-e-vasl so utnā usī ko hai
duniyā bahut ajiib hai insāñ ko kyā kaheñ
hotā kisī kā aur vo rotā kisī ko hai
kitnā bhī saḳht-jān ho insān phir bhī dost
ghar chhūTne kā dard akhartā sabhī ko hai
jitna maKHaul aaj meri zindagi ko hai
shayad hi is zamane mein hota kisi ko hai
aage ka kuchh pata nahin is waqt to unhen
itni hai rasm-o-rah ki hoti kisi ko hai
hum se to puchhne ka sabab kuchh nahin to kya
jitna hai josh-e-wasl so utna usi ko hai
duniya bahut ajib hai insan ko kya kahen
hota kisi ka aur wo rota kisi ko hai
kitna bhi saKHt-jaan ho insan phir bhi dost
ghar chhuTne ka dard akharta sabhi ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.